Generally, there are eight types of magic, as per different references. They are 1) Sahar-e-Tafreeq 2) Sahar-e-Muhabbat 3) Sahar-e-Taqleel 4) Sahar-e-Junoon 5) Sahar-eKhamool 6) Sahar-e-Hawataf 7) Sahar-e-Amraaz and 8) Sahar-e-Isteqaza
1) Black Magic for Separation (Sahar-e-Tafreeq)
The affects of Sahar-e-Tafreeq include a sudden change in loving relationship, rise in doubts and suspicion between wife and husband, rejecting each other’s reasons, feeling/considering a little difference of opinion as a big issue, man starts feeling his wife to be ugly and woman feels her husband to be ugly, one starts hating every work of one’s spouse or dislike the place where one’s spouse sits.
2) Black Magic for Love (Sahar-e-Muhabbat)
Too much love for wife, desire to have frequent intercourse, feeling unrest in the absence of wife, anxious to see wife and blindly following wife.
3) Black Magic Blockages in Life (Sahar-e-Taqleel)
Moving things look static and static things look moving. Small things look big and big ones look small. Different things look differently, as it is proved by the episode of Hazrat Musa, alaihi salaam, when magician’s robes and wood logs looked as snakes.
4) Black Magic for Anxiety (Sahar-e-Junoon)
Affects of Sahar-e-Junoon are anxiety, unreasonable and excessive talkativeness, restlessness and careless about one’s appearance. In chronic cases of Sahar-e-Junoon, people walk continuously with face upholding high and sleep at secluded places.
5) Black Magic for Aloofness (Sahar-e-Khamool)
Aloofness, selfishness, complete speechless, anxiety, constant headache, feeling restlessness in gatherings/parties and constant laziness.
6) Black Magic in Dreams (Sahar-e-Hawataf)
Horrific dreams, feeling that someone is calling in dreams, hearing noises and seeing nobody while awake, developing suspicions about friends, feeling that one is to fall from a big mountain, seeing horrific animals following in dreams.
7) Black Magic of Diseases (Sahar-e-Amraaz) Sifli
Constant pain in one of the body parts, bouts of fits/epilepsy, feeling numbness in the whole body or some parts and non-working of one of the senses.
8) Black Magic Kabala Voodoo etc (Sahar-e-Isteqaza)
Monday, July 6, 2026
Types of Magic
Surah Yaseen ka Amal
Yaseen sharif ko qur,an ka dil kaha gaya hain.aur bepanah faaeday ka hamil hain.har tarha ki haajat rawayi eski tilawat se hoti hain.aur khas esay parhnay se ALLAH taala bahot razi hota hain.ahadis me eskay bahot fawaaed aaye hain.
darmi sharif ki hadis hain ki jo aadmi din k shuru me surah e yaseen pahaega uski tamaam zarooriat puri kar di jaegi.
hazrat ibn abbas radiallahu anho se rivayat hain ki NABI E KAREEM sallallahu alayhi w sallam ne farmaya ki meri tamanna hain ki ye surah(yaseen) har ummati k dil me hoti.
yaseen shrif parhnay se din duniya ki bhalayiya naseeb hoti hain.
agar koi shakhs surah e yaseen ko fajr ki namaz k b,ad ek martba parhnay ka mamool banalay to wo bahot jald logo me har dil azeez ho jaen.uski izzat me bepanah ezafa ho.har tarha ki burayi khatm ho jaen aur tabiyat acchayi ki tarf maael ho.shaitan se mahfooz ho,bala se door ho,bimariyon se shifa ho,nek aulad hogi.qaidy kasrat se parhay to rihayi naseeb ho,
garz ki yaseen sharif ki tilawat se har aarzoo puri hoti hain.
mere pas yaseen k kai aamal hain aur aazmuda hain.aur mainay bahut se kaam liye ya karwaye aur kamyabi mili hain,ek baat ki yaseen sharif k muakkilin bahot hi shareef hain aur yaseen k parhnay walon se muhbbat kartay hain,par rijjat bhi jald kartay hain.par usay jo jo yasen shareef ko mamool se nikal detay hain.agar aap yaseen sharif ki tilawat muhbbat se karaengay to eskay muaakilin aapko gaaiban madad kartay hain.aur aapkay geerd ek bahot hi behtarin khushboo mahsoos hoti hain jo duniya ki koi khushboo uska muqabla nahi kar sakti.par ye 5-6mahinay me nahi hota bahot saal b,ad aapko mahsoos hoga.ha,agar saaf din insan hain to wo jald dost banjata hain. ab main yahan ek tareeqa yaseen sharif ka likhta hun jissay aap pe yaseen sharif ka faiz jary ho jaen.
TARKEEB :
B,roz nauchandi jumeraat ko ek pyalay me sarbat le aur ALLAH ki khusnoodi ki garz se khub muhabbat w eksui se 70 martba yaseen sharif parhay.aur phir sarbat pe dam karkay pilay.inshallah ab aap yaseen sharif k amil hain,ab jo bhi aap yaseen shrif k amal karaengay usmay asar aaega.
ab rozana b,ad e fajr w isha 1-1 martba yaseen sharif parhnay ka mamool banalay.
amal din me kisi bhi waqt karlay agar ek nashist me 70 martba parhlay to behatar hain,warna chand nashisht me pura karlay.jisay zabani yad hain uskay liye mushkil nahi.
ba,wuzu khushbu laga kar khushbudar agarbatti jalakar parhay.
Ab main yahan kuch part me yaseen sharif ki har aayat k amal likhna shuru kar raha hun.taki aapko us ek ek aayat se faeda hasil karnay ki tarkeeb maloom ho jaen.es surah me 83 aayat hain aur har aayat ka me kuch parts me alag alag amaliyat likhna chahta hun.ummid hain aap meri es mahnat ko pasand farmaengay aur khud ka aur dusron ka bhala karaengay.
aur ek bat khas bata dun ki aaj kal chor ki tabiyat k malik kuch log aisy tahreer chura kar apnay naam se post kardaytay hain aur logon ko dhoka detay hain aur log bhi ajib hain ki kuch janay bagair ki wo kaun hain kis tarha ka insan hain.babaji ustadji hazratji k ilqab detay huvay ijazat mangraha hain to koi daman tham raha hain.aur koi izzat to koi rupya barbad kar raha hain.main khud bhi kaun hun aap mujay bhi kaha jantay hain.main bhi kahta hun mera samarali ka bhi yaqeen na karay.bas koi amal acha lagay to uspay amal karay.meray blog k kisi amal k liye ijazat laynay ki zarorat nahi jo reader karna chahay be khauf kr sakta hain.ye main bar bar kah chuka hun.phir bhi ijazat k naam pe mail msg kartay hain.kuch log pichay parh jatay hain ki ye bataon wo bataon aur jab jawab nahi diya jata to kahtay hain ki blog kyu likhtay ho?
bhai ye blog mainay aam musalmano ki bhalayi k liye likha hain.koi kisi ko amil kamil bananay k liye nahi likha hain.mera bhi khud ka karobar hain aur meri family hain meri zimmedariya hain usmay se waqt nikal kar bhi main meray murshid k mission ko anjam de raha hun.koi ek banda bhi apni mushkilat ka hal es koshish k sabb hasil karlay to meri mahnat kamyab samjta hun.
aur sab se aham baat ki ilm rohaniyat sikhnay ka jazba aapko bad deeno sifligaro ka pairo kaar na banaday.hamzad hasil na ho na sahih muakkal hasil na ho na sahi.bagari maangay Rabb e qadir ne jo imaan ki daulat di hain wo aakhri waqt tak sambhal jaen to kaafi hain.
Ab main surah e yaseen sharif ki aayat k amaliyat likh raha hun.......
es aayat ko chaltay phirtay kasrat se parhtay rahnay se gunah muaf hotay hain aur islah e batin hoti hain.
zalim dushman se nijat k liye dushman k naam k huroof ki tadad k barabar sufaid mirch pe usi tadad me es aayat ko parh kar aag me dal diya karay.kuch din k amal se dushman parayshan karna band kardaega ya khud parayshani ka shikar ho jaega.
haakim,w barhay afsaron ki taskheer k liye es aayat ko zafran w mushq se likh kar apnay pas rakha jaen.
jis aurat ki aulad paida hotay hi mar jati ho wo pahlay achhay se gusal karay aur phir es aayat ko kisi hafiz qari se 1000 martba parhwa kar pahlay bhar pet pani pilya itna piye ki uskay bad ek ghunt bhi na pi ja sakay utna pet bhar jaen.phir kuch pani jo pahlay hi usmay se alag karlay usay dusray pak pani me mila kar ussay dubara gusl karay.gusal ya to zamin me gadha khod kar karay ya phir kisi barhay tab me karay ki pani kisi gandi jagah na jaen.gusal k bad wo pani kisi jagah dafan krday insha Allah es amal se aaenda uski aulad hayyat rahegi.
#25.إِنِّي آمَنتُ بِرَبِّكُمْ فَاسْمَعُونِ Innee amantu birabbikum faismaAAoon.
aagay ki aayaat w amaliyat nxt part 2 me insha Allah.
Nazar e Bad ka ilaj
Sab se pahlay samjlay ki nazr e bud misl e zahar hain.jisko Allah ta’al ne b’az insano ki aankhon me paida kar diya.jis tarah bichhu ka dank hain,aur sanp k munh me zahar de diya hain.esi tarha kuch insano ki ankhon me zaharili taseer paida kardi gayi hain.nazar sheesha to kya pattha ko tod deti hain.dariyaon k pani ko sukha deti hain.aur insan ko jab lag jati hain to kabristan me pahocha deti hain.nazar jab haray bharay baago ko lagti hain to darakhton ko sukha deti hain.aisa nahi ki nazar sirf insano ko laga karti hain,ye insan makaan dukaan,bag khet,karkhana,aamdani,paidavar,maal daulat,garz ki har chiz ko lag jati hain.
NAZAR E BAD KI ALAMATAY
Ye hain ki jab insan ko lagti hain to achanak bimar ho jata hain,badan me susti bhar jati hain,dimag kaam nahi kar pata,yaddast kamzor parh jati hain,badan me kamzori aajati hain,chid chidapan aajata hain,gumsun rahta hain,wo khud nahi samjpata k i usay kya huva hain.jab karobar me lagti hain to chalta huva karobar ruk jata hain aur din b din sell girti jati hain,aur dukan ya showroom band karnay ki naubat aajati hain.
agar janwar ko lagay to janwar dudh dena band kardeta hain,bimar ho jata hain,aur agar waqt pe elaj na kiya jaen to maut bhi ho jati han.
agar bacho ko lagti hain to bacha rota rahta hain,zid karta hain,na khelta hain na thik se sota hain aur na kahin chain se baithta hain.bukhar bhi aajta hain.Rupay/daulat ko nazar lagti hain to barkat khatm ho jati hain aur rupay ki tangi hoti hain,kharchay barh jatay hain,income kam ho jati hain,yahan tak ki sari bachat bhi khatm hojati hain aur insan qarz me mubtila ho jata hain.jaisay rupay aur uskay darmiyan ek dushmani si ho jati hain.
aisy kai alamatay hain.aur ye sahar jadu se milti julti alamatay hain.to kisi amil se rabta karnay se pahlay meri es post me diye qurani w ahadis ki duaon ka sahara le ke khud elaj karay aur dekhay ki fark ho raha hain ya nahi?agar 40 din kisi amal ko karay aur koi fark na ho to kisi achay amil se rabta kar saktay hain.bahot mumkin hain ki aap jisay sahar jadu ka mamla samj rahay hain wo nazar e bad ki tabahi ho.
sahar ki aur nazar ki alamatay ek si hain,esliye aap ko lagay ki shayid kisi ne jadu tona kiya hain aur aap ek musibat se dusri me gir jaen,kyu k amil aksar hazrat bagair fees to kaam nahi karaengay?
sahar aur nazar ki alamatay kuch miti julti kyu?esay main yahan samjanay ki koshish karta hun,
Nazar e bad lagana bhi ek amal sifly hain.aur ye baqaeda sikha jata hain,aur hamaray gaon me to ye aam hain gair muslim me jo ye sifli amal kartay hain.hamaray gaon me ek kaum hain,gair muslim jiska bacha bacha sifli ka mahir hain.agar parinday ko ek nazar dekhlay to wo zameen par gir parhta hain.agar kisi k ghoday ko ek nazar dekhlay to ek saat me wo mar jata hain.aur ye log apnay ek aur amal k liye bhi mash'oor hain ki wo ek post card me ibarat likh detay hain agar usay koi bar bar parhaega to wo sakht bimar ho jata hain.aur agar koi kisi k jodo me ya sinay me hath me dard paida karna chahta hain to wo bhi kar detay hain.
enlogon se hi pata chala hain ki nazar e bad ka amal sikhnay k liye wo khas din se sub'ah apni potti ko ek neem ki sali se chakhtay hain,kuch din k es amal se usmay nazar e bad ki quwat e bad paida ho jati hain aur wo jisko dam bhar dekhlay to usay lag jati hain.
aur ye bhi mujay pata chala ki kuch insan me bhi ye nazar e bad ki quwat e bad apnay aap paida ho jati hain wo kyu?wo bichara to aisa koi amal nahi karta phir bhi uski nazar sab ko lag jati hain.jisay aam tor par nazar ka bhaari kaha jata hain.ye us sakhs ko hota hain jisay bachpan me pait me kidaay [kaddu danay] hotay hain.pait k kiido ki khurak bhi insan k aat me rahi potii hi hain aur jiskay pait me ek lambay waqt tak ye kiday rahtay hain to us insan ki nazar me bhi ye asrat e bud paida ho jata hain aur uski nazar bhari ho jati hain.aisay insan ko jab bhi koi chiz maloom ho to
yakadu allazeena kafaroo layuzliqoonaka biabsarihim lamma samiAoo alzzikra wayaqooloona innahu lamajnoonun Wama huwa illa thikrun lilAAalameena
parh liya jaen.kyu ki eskay parhnay se Allah ta'ala nazar e bud ki asar ko zael kar deta hain,taseer ko rok deta hain.
aur agar kisi shakhs ko maloom ho jaen ki uski nazar bahot sakht hain to usay chahiye ki wo aisy kisi chiz ko nazar bhar dekhay hi nahi.aur kabhi dekh bhi layto usi waqt usko ye dua parhni chahiye...
hazrat shaikh abul qasim rahmatullah alayh ne Sirat me byaan kiya hain ki ek baar ek larhka sakht bimar huva ki marnay k kareeb ho gaya tha to ek roz mainay nabi e akram sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ko khwab me dekha ki aap sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ne farma rahay hain ki Tu aayaat e shifa se abtak kyu gafil raha?[matlab en aayaat k zariye elaj kyu nahi kiya?]
AAYAAT AS-SHIFA YE HAIN....
Yaa ayyuha an-naasu qad ja’atkum maw`izhatun min rabbikum wa shifaun limaa fee as-sudoori wa hudan wa rahmatun lil-mumineen. (Yunus, 10:57)
*ES AYAAT SE ELAJ KA TAREEQA YE HAIN KI BISMILLAH W SURAH E FATEHA SHARIF PARH KAR 21 BAR YE AAYAT E SHIFA SHARIF PARHA JAEN AUR PANI PE DAM KARKAY NAZR E BUD K MARIZ KO PILAYA JAEN AUR SUB'AH SHAM 3-3 BAR AAYAT E SHIFA PARH KAR MARIZ PE DAM KIYA JAEN.11 DIN K AMAL SE ASAR ZAEL HO JAEGA.AUR EN BISMILLAH W SU.FATEHA SHARIF K SATH AAYAT SHIFA CHINI KI RAKAABI PE LIKH KAR 3 WAQT PANI SE DHO KAR PILAYI BHI JA SAKTI HAIN,ESSAY BHI 11 YA 21 DIN KAR SAKTAY HAIN.
*AUR YE AAYAT E SHIFA HAR MARZ CHAHAY CHOTA YA BARHA KOI BHI LA ELAJ MARZ KA ELAJ HAIN.UPAR LIKHI KISI BHI TARKEEB SE ELAJ KIYA JAEN,INSHALLAH HAR MARZ SE SHIFA HASIL HOGI.
BACHO KO NAZAR LAGNA:
Jo bachay sehatmand aur khubsoorat hotay hain wo aksar nazar e bud ka shikar hotay hain,aur aksar apnay gharwalon ki nazar lag jati hain.eska ek elaj to upar likh diya ki kisi bhi chiz ko ya aisay bachay ko dekh kar "masha Allah wala quwat ila billah." kahay.
chotay bachho ko nazar lag jaen to 3 bar su.kausar parh kar chehray pe dam kiya jaen.aisa 3 din tak karay,inshallah essay bhi asar zael ho jata hain.
MAKAN W DUKAN KO NAZAR SE BACHANA:
agar apnay makan par ya dukaan upar "MASHALLAH"khubsoorati se likhwaya jaen ki logon ki nazar uspay parhay to inshallah makaan w duakan buri nazar se mahfooz rahti hain.
KHUD KO YA KISI GHAR K FARD KO NAZAR LAGNA:
upar mainay tareeqa bataya hain ki kis tarha se nazar dur ki ja sakti hain.ek aur tareeqa nazar ko dur karnay ka ye hain ki ek sufaid kagaz pe khanay k zard rang se ek bar surah e fateha ek bar aaytul kursi aur aur 4ro Qul ek ek bar likh kar usay mariz k galay me taweez me rakh kar pahnaye aur sub'ah w sham 3 din tak ye hi surah ya mariz pe dam ki jaen ya pani pe dam karkay pilaya jaen.
*esi tarha aap ye dhaga bhi bana kar estemal kar saktay hain wo yun ki kisi sabz dhagay pe ek girah de aur ek bar ye aayat par kar dam karay aur girah laga de..
esi tarha dhagay pe 11 girah de aur har girah pe ek bar dam karna hain.es dhagay ko aap mom jama karkay galay me pahnay ya apnay bachho ko ya aurat ko ya samaan me ya dukan me ya janwaron ko pahnaye inshallah nazar ka asar zael ho jaega.ye dhaga main khud dam karkay rakhta hun aur taqseem karta hun aur bahot hi mufeed hain.
HAMELA W BACHHO KO NAZAR E BAD SE MAHFOOZ RAKHNAY K LIYE:
En aayaat sharifa ko zafran w arq gulab se ya khanay k zard rang se en ayaat ko likh kar momjama karkay hamela k sidhay bazu pe bandh de to hamela w uskay shikam ka beta nazar e bad se mahfooz rakhta hain.bachay ki wiladat k bad esay bachay k galay me pahnaye to wo bhi har nazar k khatrat se mahfooz rahta hain.
yahan mainay nazar e bad w ussay bachnay k aur nazar e bad k asar ko dur karnay k tareeqay bataye hain,jo ba aasaani aap kar saktay hain.ummid hain ki jo bhi mere bhai ya bahan es post se faeda uthaengay wo mere murshid aur mere liye dua karaengay aur main bhi dua karta hun ki Allah ta'ala apnay habib sallallahu alayhi w aalehi w sallam aapko aapkay ahl o ayaal ko karobar ko har buri nazar se bachaye aameen...!


