Surah yaseen sharif ko qur,an ka dil kaha gaya hain.aur bepanah faaeday ka hamil hain.har tarha ki haajat rawayi eski tilawat se hoti hain.aur khas esay parhnay se ALLAH taala bahot razi hota hain.ahadis me eskay bahot fawaaed aaye hain.
darmi sharif ki hadis hain ki jo aadmi din k shuru me surah e yaseen pahaega uski tamaam zarooriat puri kar di jaegi.
hazrat ibn abbas radiallahu anho se rivayat hain ki NABI E KAREEM sallallahu alayhi w sallam ne farmaya ki meri tamanna hain ki ye surah(yaseen) har ummati k dil me hoti.
yaseen shrif parhnay se din duniya ki bhalayiya naseeb hoti hain.
agar koi shakhs surah e yaseen ko fajr ki namaz k b,ad ek martba parhnay ka mamool banalay to wo bahot jald logo me har dil azeez ho jaen.uski izzat me bepanah ezafa ho.har tarha ki burayi khatm ho jaen aur tabiyat acchayi ki tarf maael ho.shaitan se mahfooz ho,bala se door ho,bimariyon se shifa ho,nek aulad hogi.qaidy kasrat se parhay to rihayi naseeb ho,
garz ki yaseen sharif ki tilawat se har aarzoo puri hoti hain.
mere pas yaseen k kai aamal hain aur aazmuda hain.aur mainay bahut se kaam liye ya karwaye aur kamyabi mili hain,ek baat ki yaseen sharif k muakkilin bahot hi shareef hain aur yaseen k parhnay walon se muhbbat kartay hain,par rijjat bhi jald kartay hain.par usay jo jo yasen shareef ko mamool se nikal detay hain.agar aap yaseen sharif ki tilawat muhbbat se karaengay to eskay muaakilin aapko gaaiban madad kartay hain.aur aapkay geerd ek bahot hi behtarin khushboo mahsoos hoti hain jo duniya ki koi khushboo uska muqabla nahi kar sakti.par ye 5-6mahinay me nahi hota bahot saal b,ad aapko mahsoos hoga.ha,agar saaf din insan hain to wo jald dost banjata hain. ab main yahan ek tareeqa yaseen sharif ka likhta hun jissay aap pe yaseen sharif ka faiz jary ho jaen.
TARKEEB :
B,roz nauchandi jumeraat ko ek pyalay me sarbat le aur ALLAH ki khusnoodi ki garz se khub muhabbat w eksui se 70 martba yaseen sharif parhay.aur phir sarbat pe dam karkay pilay.inshallah ab aap yaseen sharif k amil hain,ab jo bhi aap yaseen shrif k amal karaengay usmay asar aaega.
ab rozana b,ad e fajr w isha 1-1 martba yaseen sharif parhnay ka mamool banalay.
amal din me kisi bhi waqt karlay agar ek nashist me 70 martba parhlay to behatar hain,warna chand nashisht me pura karlay.jisay zabani yad hain uskay liye mushkil nahi.
ba,wuzu khushbu laga kar khushbudar agarbatti jalakar parhay.
Ab main yahan kuch part me yaseen sharif ki har aayat k amal likhna shuru kar raha hun.taki aapko us ek ek aayat se faeda hasil karnay ki tarkeeb maloom ho jaen.es surah me 83 aayat hain aur har aayat ka me kuch parts me alag alag amaliyat likhna chahta hun.ummid hain aap meri es mahnat ko pasand farmaengay aur khud ka aur dusron ka bhala karaengay.
aur ek bat khas bata dun ki aaj kal chor ki tabiyat k malik kuch log aisy tahreer chura kar apnay naam se post kardaytay hain aur logon ko dhoka detay hain aur log bhi ajib hain ki kuch janay bagair ki wo kaun hain kis tarha ka insan hain.babaji ustadji hazratji k ilqab detay huvay ijazat mangraha hain to koi daman tham raha hain.aur koi izzat to koi rupya barbad kar raha hain.main khud bhi kaun hun aap mujay bhi kaha jantay hain.main bhi kahta hun mera samarali ka bhi yaqeen na karay.bas koi amal acha lagay to uspay amal karay.meray blog k kisi amal k liye ijazat laynay ki zarorat nahi jo reader karna chahay be khauf kr sakta hain.ye main bar bar kah chuka hun.phir bhi ijazat k naam pe mail msg kartay hain.kuch log pichay parh jatay hain ki ye bataon wo bataon aur jab jawab nahi diya jata to kahtay hain ki blog kyu likhtay ho?
bhai ye blog mainay aam musalmano ki bhalayi k liye likha hain.koi kisi ko amil kamil bananay k liye nahi likha hain.mera bhi khud ka karobar hain aur meri family hain meri zimmedariya hain usmay se waqt nikal kar bhi main meray murshid k mission ko anjam de raha hun.koi ek banda bhi apni mushkilat ka hal es koshish k sabb hasil karlay to meri mahnat kamyab samjta hun.
aur sab se aham baat ki ilm rohaniyat sikhnay ka jazba aapko bad deeno sifligaro ka pairo kaar na banaday.hamzad hasil na ho na sahih muakkal hasil na ho na sahi.bagari maangay Rabb e qadir ne jo imaan ki daulat di hain wo aakhri waqt tak sambhal jaen to kaafi hain.
Ab main surah e yaseen sharif ki aayat k amaliyat likh raha hun.......
#1.يس Yaseen
#2. وَالْقُرْآنِ الْحَكِيمِ Waalqurani alhakeemi
rozana 100 martba wird me rakhnay se neamat me izafa hota hain.
#3.إِنَّكَ لَمِنَ الْمُرْسَلِينَ Innaka lamina almursaleena
kisi diwanay ya jinn aseb k mariz pe 1000 martba parh kar pani pe dam karkay pilatay rahnay se shifa w nijat hoti hain.
#4.عَلَى صِرَاطٍ مُّسْتَقِيمٍ Aala siratin mustaqeem
Rab ki khushi k liye aur naraz dost ko razi karnay k liye 100 martba fajr k bad parha karay.
#5.تَنزِيلَ الْعَزِيزِ الرَّحِيمِ Tanzeela alAAazeezi alrraheem
shaitani waswasy ko dur karnay fajr ki namaz k bad jab tak dil lagay wird kiya karay.
#6.لِتُنذِرَ قَوْمًا مَّا أُنذِرَ آبَاؤُهُمْ فَهُمْ غَافِلُونَ Litunzira qawman ma onzira abaohum fahum ghafiloon.
khauf dushman ho zalim ka ho to likh kar pack karkay apnay pas rakhay.
#7. لَقَدْ حَقَّ الْقَوْلُ عَلَى أَكْثَرِهِمْ فَهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ Laqad haqqa alqawlu Aala aksarihim fahum la yuminoona.
kisi tanha makaam pe ya jahan khauf mahsoos ho wahan 100 martba wird karnay se aman rahta hain.
#8.إِنَّا جَعَلْنَا فِي أَعْنَاقِهِمْ أَغْلاَلاً فَهِيَ إِلَى الأَذْقَانِ فَهُم مُّقْمَحُونَ Inna jaAalna fee aAnaqihim aghlalan fahiya ila alazqani fahum muqmahoon
es aayat ko naginay pe kunda karwa kar sidhay hath ki choti ungli me pahnay to taskheer khas ho aam ho logon me maqbuliyat ho.
#9.وَجَعَلْنَا مِن بَيْنِ أَيْدِيهِمْ سَدًّا وَمِنْ خَلْفِهِمْ سَدًّا فَأَغْشَيْنَاهُمْ فَهُمْ لاَ يُبْصِرُونَ WajaAalna min bayni aydeehim saddan wamin khalfihim saddan faaghshaynahum fahum la yubsiroon.
#10. وَسَوَاء عَلَيْهِمْ أَأَنذَرْتَهُمْ أَمْ لَمْ تُنذِرْهُمْ لاَ يُؤْمِنُونَ Wasawaon AAalayhim aanzartahum am lam tunzirhum la yuminoon
#11.إِنَّمَا تُنذِرُ مَنِ اتَّبَعَ الذِّكْرَ وَخَشِيَ الرَّحْمَن بِالْغَيْبِ فَبَشِّرْهُ بِمَغْفِرَةٍ وَأَجْرٍ كَرِيمٍ Innama tunziru mani ittabaAAa alzzikra wakhashiya alrrahmana bialghaybi fabashshirhu bimaghfiratin waajrin kareem.
#12. إِنَّا نَحْنُ نُحْيِي الْمَوْتَى وَنَكْتُبُ مَا قَدَّمُوا وَآثَارَهُمْ وَكُلَّ شَيْءٍ أحْصَيْنَاهُ فِي إِمَامٍ مُبِينٍ Inna nahnu nuhyee almawta wanaktubu ma qaddamoo waasarahum wakulla shayin ahsaynahu fee imamin mubeen.
#13.وَاضْرِبْ لَهُم مَّثَلاً أَصْحَابَ الْقَرْيَةِ إِذْ جَاءهَا الْمُرْسَلُونَ Waidrib lahum masalan ashaba alqaryati iz jaaha almursaloon.
jo log badnasibi ki shikayat kartay hain wo es aayat ko rozana arq gulab w zafran se tastari pe likh kar subah pi liya karay,nahosat w badnasibi jati rahaegi.
#14.إِذْ أَرْسَلْنَا إِلَيْهِمُ اثْنَيْنِ فَكَذَّبُوهُمَا فَعَزَّزْنَا بِثَالِثٍ فَقَالُوا إِنَّا إِلَيْكُم مُّرْسَلُونَ Iz arsalna ilayhimu isnayni fakazzaboohuma faAAazzazna bisalisin faqaloo inna ilaykum mursaloon.
chechak k mariz ko likh kar bandhnay se shifa hasil ho.
#15.قَالُوا مَا أَنتُمْ إِلاَّ بَشَرٌ مِّثْلُنَا وَمَا أَنزَلَ الرَّحْمن مِن شَيْءٍ إِنْ أَنتُمْ إِلاَّ تَكْذِبُونَ Qaloo ma antum illa basharun misluna wama anzala alrrahmanu min shayin in antum illa takziboon.
aankh dukhti ho ya aankh uthi ho to zafran se likh kar galay me pahnay to shifa ho.
#16.قَالُوا رَبُّنَا يَعْلَمُ إِنَّا إِلَيْكُمْ لَمُرْسَلُونَ Qaloo rabbuna yaAAlamu inna ilaykum lamursaloon.
galay[throat] ki tamaam bimariyo k liye likh kar galay me pahna jaen.
#17. وَمَا عَلَيْنَا إِلاَّ الْبَلاَغُ الْمُبِينُ Wama AAalayna illa albalaghu almubeen.
dushmani ko khatm karnay k liye kamzor likh kar apanay pas rakhay.
#18.قَالُوا إِنَّا تَطَيَّرْنَا بِكُمْ لَئِن لَّمْ تَنتَهُوا لَنَرْجُمَنَّكُمْ وَلَيَمَسَّنَّكُم مِّنَّا عَذَابٌ أَلِيمٌ Qaloo inna tatayyarna bikum lain lam tantahoo lanarjumannakum walayamassannakum minna AAazabun aleem.
shareer janwar ko kabu karnay k liye zard[yellow] kagaz pe likh kar uskay galay me pahnaya jaen.
#19.قَالُوا طَائِرُكُمْ مَعَكُمْ أَئِن ذُكِّرْتُم بَلْ أَنتُمْ قَوْمٌ مُّسْرِفُونَ Qaloo tairukum maAAakum ain zukkirtum bal antum qawmun musrifoon.
hamela ko dard e jah uthay to us waqt esay likh kar mom jama karkay bazu pe bandhay to aasani se bacha paida ho jaen.aur 100 martba parh kar bhi pani dam karkay pila diya jaen.
#20.وَجَاء مِنْ أَقْصَى الْمَدِينَةِ رَجُلٌ يَسْعَى قَالَ يَا قَوْمِ اتَّبِعُوا الْمُرْسَلِينَ Wajaa min aqsa almadeenati rajulun yasAAa qala ya qawmi ittabiAAoo almursaleen
baanz aurat esay zafran w mushq se likh kar apnay bazu ya galay me pahnay to khuda aulad inayat karaega.
#21.اتَّبِعُوا مَن لاَّ يَسْأَلُكُمْ أَجْرًا وَهُم مُّهْتَدُونَ IttabiAAoo man la yasalukum ajran wahum muhtadoon.
jis aurat ko do larhkiya ho aur wo ab beta talab karna chahti ho to roza rakhay aur es aayat ko zafran w arq gulab se likh kar galay me ya bazu pe momjama karkay pahnay to insha Allah agli aulad beta hoga.
#22.وَمَا لِي لاَ أَعْبُدُ الَّذِي فَطَرَنِي وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ Wama liya la aAAbudu allazee fataranee wailayhi turjaAAoon.
jis aurat ka bacha abhi dudh pi raha hain aur naya hamal nahi rakhna chahtay hain to es aayat ko likh kar galay me pahnay to Hamal nahi thaherta.aayt k liye aurat ka naam m,walida likh de.
#23.أَأَتَّخِذُ مِن دُونِهِ آلِهَةً إِن يُرِدْنِ الرَّحْمَن بِضُرٍّ لاَّ تُغْنِ عَنِّي شَفَاعَتُهُمْ شَيْئًا وَلاَ يُنقِذُونِ Aattakhizu min doonihi alihatan in yuridni alrrahmanu bidurrin la tughni AAannee shafaAAatuhum shayan wala yunqizoon.
kisi bhi bimari se shifa k liye es aayat ko zafran w arq gulab se kagaz pe likh kar usay rat ko ek glass pani me dal kar rakh de aur subah nihar munh ye hi pani bismillah bol kar piliya karay,3 din es tarha amal karnay se bimari se shifa hasil hogi.
#24.إِنِّي إِذًا لَّفِي ضَلاَلٍ مُّبِينٍ Innee izan lafee dalalin mubeen.
#25.إِنِّي آمَنتُ بِرَبِّكُمْ فَاسْمَعُونِ Innee amantu birabbikum faismaAAoon.
bukhar dur karnay k liye es aayat ko har girah pe ek martba parhay aisay 12 girah laga kar galay me pahnaye insha Allah bukhar dur ho jaega.
aagay ki aayaat w amaliyat nxt part 2 me insha Allah.
Assalam walaikum ayat 40 ka wazifa janna hai hazrat
ReplyDelete